ai havaa aa ke thaam le aaNchal lyrics, Hindi lyrics, Bollywood Movie Lyrics, Indian lyrics, Hindi Songs Lyrics


 

ai havaa aa ke thaam le aaNchal Hindi Lyrics

Hindi Song Title: ai havaa aa ke thaam le aaNchal
Hindi Movie/Album Name: YAAD RAKHEGI DUNIYA
Singer(s): ANURADHA PAUDWAL


Hindi Lyrics:
 o o o, o.., o.. o, o..
( ai havaa aa ke thaam le aaNchal
ai ghaTaa ban jaa.. aaNkh kaa kaajal
kaliyoN mein chhup ke unhen mahkaa dooN
murjhaaye phooloN ko khilaa dooN..
aajaa haNs ke jeenaa sikhaa dooN -2 ) -2

( kaale-kaale baadal se ras barsaati hooN
barkhaa ki booNdoN mein jhoom ke gaati hooN ) -2
sehraa mein bhi jal barsaa dooN
sabki pyaas bujhaa dooN..
aajaa haNs ke jeenaa sikhaa dooN -2

la la la la la la -2
aa.., la la la la la la la la la

( parvat se jharnaa banke bahti hooN
lahroN ke darpaN mein haNsti rahti hooN ) -2
titli jaisi uD ke dikhaa dooN
duniyaa ki sair karaa dooN
aajaa haNs ke jeenaa sikhaa dooN -2
ai havaa aa ke thaam le aaNchal
ai ghaTaa ban jaa.. aaNkh kaa kaajal
kaliyoN mein chhup ke unhen mahkaa dooN
murjhaaye phooloN ko khilaa dooN..
aajaa haNs ke jeenaa sikhaa dooN -2

 

 

  2 A B C D E F G H I J K K L M N O P Q R S T U V W Y Z 

Home   |   Music   |   Hindi Lyrics    |   Bollywood News    |   Movie Reviews  | Pop Music

All rights reserves, Go4bollywood.com, 2005-2006