New! Now get latest music videos on your Orkut profile.Click here!!
Hindi Lyrics
Hindi Song Title: Haadsaa
Hindi Movie/Album Name: HAADSAA THE GROOVY MIX
Singer(s): KALPNA


Hindi Lyrics:
Haadsaa... Haadsaa...
Haadsaa  haadsaaa... haadsaa.......

yeh mumbai shaher haadson ka shaher hai
yahan zindgi hadso ka safar hai
yahan roz roz har mod mod pe hota hai koi na koi
haadsaa haadsaa haadsaaaaaa haadsaaaaaa

yahan ki khushi aur gum hai anokhe
bade khoobsurat se hote hai dhoke
bahut tez raftar hai zindgi
hai phursat kise koi kitna bhi soche
khushi haadsa hai gum hadsaa hai
haqeeqat bhulakar har ek bhagta hai 
yahan roz roz ki bhagdaud main hota hai koi na koi
haadsaa haadsaa haadsaaaaaa haadsaaaaaa

Haadsaa... Haadsaa...
yahan aadmi aasma chumte hai
nashe main tarakki ke sab jhumte hai
hari roshni dekh bhage woh tare
achanak ruke phir se banke katare 
yahan ke parindo ki parwaaz dekho
hasino ke chalne ka andaz dekho
yahan husno ishq ki aawo hawa main hota hai koi na koi 
haadsaa hadsaa haadsaaaaaa haadsaaaaaa