Hamko Tumhare Ishq Ne lyrics, Hindi lyrics, Bollywood Movie Lyrics, Indian lyrics, Hindi Songs Lyrics


 

Hamko Tumhare Ishq Ne Hindi Lyrics

Hindi Song Title: Hamko Tumhare Ishq Ne
Hindi Movie/Album Name: EK MUSAFIR EK HASINA
Singer(s): MOH. RAFFI


Hindi Lyrics:
aa aa aa aa...
hamko tumhaare ishq ne kyaa kyaa banaa diyaa
jab kuchh na ban sake to tamaashaa banaa diyaa
hamko tumhaare ishq ne kyaa-kyaa banaa diyaa

kaashi se kuchh Gharaz thi na qaabe se vaastaa
ham DhooNDhne chale the mohabbat kaa raastaa..
dekhaa tumhaare dar ko to sar ko jhukaa diyaa
jab kuchh na ban sake to tamaashaa banaa diyaa

dil ki lagi ne kar diyaa donoN ko beqaraar
dohraa ke daastaan-e-mohabbat phir ek baar
majnooN hamen aur aapko lailaa banaa diyaa
jab kuchh na ban sake to tamaashaa banaa diyaa

nikle teri talaash mein aur khud hi kho gaye
kuchh ban paDi na hamse to deevaane ho gaye..
deevaangi mein phir teraa koochaa dikhaa diyaa
jab kuchh na ban sake to tamaashaa banaa diyaa

jalvoN ki bheekh phenkne vaale ki khair ho
pardaa haTaake dekhne vaale ki khair ho..
ban ke bhikhaari ishq ne daaman bichhaa diyaa
jab kuchh na ban sake to tamaashaa banaa diyaa
hamko tumhaare ishq ne kyaa kyaa banaa diyaa

aa aa aa aa aa...

 

 

  2 A B C D E F G H I J K K L M N O P Q R S T U V W Y Z 

Home   |   Music   |   Hindi Lyrics    |   Bollywood News    |   Movie Reviews  | Pop Music

All rights reserves, Go4bollywood.com, 2005-2006