Is Desh Ke Jawaano lyrics, Hindi lyrics, Bollywood Movie Lyrics, Indian lyrics, Hindi Songs Lyrics


 

Is Desh Ke Jawaano Hindi Lyrics

Hindi Song Title: Is Desh Ke Jawaano
Hindi Movie/Album Name: FARZ (1947)
Singer(s): ZEENAT BEGUM


Hindi Lyrics:
( is desh ke jawaano ko ab aazmaaya jaayega 
aazamaaya jaayega )  -2 

shola hai zameen bani bijli giraaye aasmaan 
aag ke sholo pe chala desh ka ye kaarwaan 
kaun seena taan nikale  -2 
desh mere ka jawaan 
hind par wo mar mite ooncha kare komi nishaan  -2 
kaun aage badhke pehale pehali goli khaayega 
aazamaaya jaayega 

desh ki vidhwaa pukaare bhaag jinke so gaye 
saaye sar se utha gaye bachhe yateem ho gaye 
gurbat ka ek toofaan utha  -2 
bahanon se bhaai kho gaye 
maataaon ki aankhon ke taare rote rote so gaye 
kaun aaj in deviyo ke rote dil hansaayega 
aazamaaya jaayega 

is desh ke jawaanon ko ab aazmaaya jaayega 
aazmaaya jaayega 

umangein mit rahi hain aaj be-naam-o-nishaan ho kar 
bata aye kaatib-e-kismat likha kaya badgumaan ho kar 

tavaqqo thi vo aayenge to dil ko chain aaye ga 
magar betaabiyaa utthi kaleje mein jawaan ho kar 

 

 

  2 A B C D E F G H I J K K L M N O P Q R S T U V W Y Z 

Home   |   Music   |   Hindi Lyrics    |   Bollywood News    |   Movie Reviews  | Pop Music

All rights reserves, Go4bollywood.com, 2005-2006