Masti Mein Ched Ke lyrics, Hindi lyrics, Bollywood Movie Lyrics, Indian lyrics, Hindi Songs Lyrics


 

Masti Mein Ched Ke Hindi Lyrics

Hindi Song Title: Masti Mein Ched Ke
Hindi Movie/Album Name: HAQEEQAT
Singer(s): MOH. RAFI


Hindi Lyrics:
ho ho,
o ho ho ho ho, 
la la la la la la la la la la,
o ho ho ho ho,

(masti mein chheDke taraanaa koi dil kaa 
aaj luTaayegaa khazaanaa koi dil kaa ) -2

pyaar bahaltaa nahin bahlaane se -2
lo main chaman ko chalaa veeraane se 
shamaa hai kab se judaa parvaane se 
ashq thamenge nazar mil jaane se 
dil se milegaa deevaanaa koi dil kaa 
aaj luTaayegaa khazaanaa koi dil kaa 
masti mein chheDke...

milke vo pahle bahut sharmaayegi -2
aage baDhegi magar ruk jaayegi 
hoke kareeb kabhi ghabraayegi 
aur kareeb kabhi khinch aayegi
khel nahin hai manaanaa koi dil kaa 
aaj luTaayegaa khazaanaa koi dil kaa 
masti mein chheDke... 

mukhDe se zulf zaraa sarkaaooNgaa
haay, mukhDe se zulf zaraa sarkaaooNgaa
suljhegaa pyaar ulajh main jaaooNgaa 
paake bhi haay bahut pachhtaaooNgaa 
aisaa suqoon kahaaN phir paaooNgaa 
aur nahin hai Thikaanaa koi dil kaa 
aaj luTaayegaa khazaanaa koi dil kaa 
masti mein chheDke...
aa haa haa haa haa haa haa, haa haa haa haa
o ho ho ho ho ho ho, ho ho ho ho

 

 

  2 A B C D E F G H I J K K L M N O P Q R S T U V W Y Z 

Home   |   Music   |   Hindi Lyrics    |   Bollywood News    |   Movie Reviews  | Pop Music

All rights reserves, Go4bollywood.com, 2005-2006