Hindi Song Title: Sooni Re Nagariya
Hindi Movie/Album Name: UPHAAR
Singer(s): LATA MANGESHKAR
Hindi Lyrics:
sooni re nagariyaa, sooni re sejariya
bhaye paradesi mere saanvariya
sooni re nagariyaa, raama
likhna na jaanoon main to, kaise likhoon patiya
koi bata de unse mere man ki batiyaan
raama duhaai main to ye bhi nahi jaani
beeta kab bachpan aayi re jawaani
|