Teri Aankhon Ka Andaaz lyrics, Hindi lyrics, Bollywood Movie Lyrics, Indian lyrics, Hindi Songs Lyrics


 

Teri Aankhon Ka Andaaz Hindi Lyrics

Hindi Song Title: Teri Aankhon Ka Andaaz
Hindi Movie/Album Name: HAAN MAINE BHI PYAAR KIYA
Singer(s): ALKA YAGNIK AND UDIT NARAYAN


Hindi Lyrics:
--FEMALE--
Teri aankhon ka andaaz kehta hai
Tu pyaar mujhse hi karta hai

--MALE--
Teri baaton ka andaaz kehta hai

--FEMALE--
Kya?

--MALE--
Tu yaar mujhpe hi marti hai

--FEMALE--
Teri aankhon ka andaaz kehta hai
Tu pyaar mujhse hi karta hai

--MALE--
Teri baaton ka andaaz kehta hai
Tu yaar mujhpe hi marti hai
Tere paas main aaoon, tujhe pyaar sikhaaoon
Tujhpe jaan lutaaoon jaane jaana

--FEMALE--
Mera dil dhadkaaya, mujhe ishq sikhaaya
Mujhe apna banaaya tu deewana

--MALE--
Vaada kiya hai, kasam humne li hai
Na hum honge milke judaa
Teri aankhon ka andaaz kehta hai
Tu pyaar mujhse hi karti hai

--FEMALE--
Teri baaton ka andaaz kehta hai
Tu yaar mujhpe hi marta hai
Naya silsila hai, nayi dosti hai

--MALE--
Naya dilruba hai, nayi dillagi hai

--BOTH--
Khule aasmaanon ke neeche mile hain
Mohabbat mein do dil jawaan

--FEMALE--
Teri saanson ka har saaz kehta hai
Tu pyaar mujhse hi karta hai

--MALE--
Uff, bahekne ka andaaz kehta hai
Tu yaar mujhpe hi marti hai
Na main hosh mein hoon, na tujhko khabar hai

--FEMALE--
Ho, meri chaahaton ka yeh tujhpe asar hai

--BOTH--
Chalo ek duje mein aise samaaye
Ke dekhe na humko jahaan

--FEMALE--
Tere khwaabon ka har raaz kehta hai
Tu pyaar mujhse hi karta hai

--MALE--
Haai, lipatne ka andaaz kehta hai
Tu yaar mujhpe hi marti hai
Tere paas main aaoon, tujhe pyaar sikhaaoon
Tujhpe jaan lutaaoon jaane jaana

--FEMALE--
O mera dil dhadkaaya, mujhe ishq sikhaaya
Mujhe apna banaaya tu deewana
Vaada kiya hai, kasam humne li hai
Na hum honge milke judaa

--MALE--
Teri aankhon ka andaaz kehta hai
Tu pyaar mujhse hi karti hai

--FEMALE--
Haan teri baaton ka andaaz kehta hai
Tu yaar mujhpe hi marta hai

 

 

  2 A B C D E F G H I J K K L M N O P Q R S T U V W Y Z 

Home   |   Music   |   Hindi Lyrics    |   Bollywood News    |   Movie Reviews  | Pop Music

All rights reserves, Go4bollywood.com, 2005-2006