Tujhko parda rukh-e-roshan lyrics, Hindi lyrics, Bollywood Movie Lyrics, Indian lyrics, Hindi Songs Lyrics


 

Tujhko parda rukh-e-roshan Hindi Lyrics

Hindi Song Title: Tujhko parda rukh-e-roshan
Hindi Movie/Album Name: LALARUKH
Singer(s): TALAT MEHMOOD, ASHA BHOSLE


Hindi Lyrics:
Pyaas kuchh aur bhi bhadhka di jhalak dikhlaake
Tujhko parda rukh-e-roshan se hataana hoga 
Itni gustaakh na ho ishq ka awaara nazar
Husn ka paatth nigaaho ko sikhaana hoga 
Tujhko parda rukh-e-roshan se hataana hoga 
Husn ka paatth nigaaho ko sikhaana hoga 
         
Chaand taaro ko mayssar hai nazaara tera
Meri betaab nigaaho se ye parda kyu hai 
Chaand aaina mera, taare mere lufz-e-qadam
Gair ko aankh milaane ki tamanna kyu hai 
Tujhko parda rukh-e-roshan se hataana hoga 
Husn ka paathh nigaaho ko sikhaana hoga 
          
Tujhko dekha tujhe chaaha tujhe pooja hamne
Bas yahi iske siwa meri khata kya hogi 
Hamne achchha kiya ghabhraake jo munh pher liya
Isse kam dil ki tadapne ki saza kya hogi  
Tujhko parda rukh-e-roshan se hataana hoga 
Husn ka paathh nigaaho ko sikhaana hoga 
Pyaas kuchh aur bhi bhadhka di jhalak dikhlaake
Tujhko parda rukh-e-roshan se hataana hoga 
Itni gustaakh na ho ishq ka awaara nazar
Husn ka paatth nigaaho ko sikhaana hoga

 

 

  2 A B C D E F G H I J K K L M N O P Q R S T U V W Y Z 

Home   |   Music   |   Hindi Lyrics    |   Bollywood News    |   Movie Reviews  | Pop Music

All rights reserves, Go4bollywood.com, 2005-2006